auroñ kā thā bayān to mauj sadā rahe
ḳhud umr bhar asīr-e-lab-e-mudda.ā rahe
misl-e-habāb bahr-e-ġham-e-hādsāt meñ
ham zer-e-bār-e-minnat-e-āb-o-havā rahe
ham us se apnī baat kā māñgeñ agar javāb
lahroñ kā pech-o-ḳham vo khaḌā dekhtā rahe
aayā to apnī aañkh bhī apnī na ban sakī
ham sochte the us se kabhī sāmnā rahe
gulshan meñ the to raunaq-e-rañg-e-chaman bane
jañgal meñ ham amānat-e-bād-e-sabā rahe
surḳhī bane to ḳhūn-e-shahīdāñ kā rañg the
raushan hue to mash.al-e-rāh-e-baqā rahe
'amjad' dar-e-nigār pe dastak hī dījiye
is be-karāñ sukūt meñ kuchh ġhalġhala rahe