tavīl-tar hai safar muḳhtasar nahīñ hotā
mohabbatoñ kā shajar be-samar nahīñ hotā
phir us ke ba.ad ka.ī log mil ke bichhḌe haiñ
kisī judā.ī kā dil par asar nahīñ hotā
har ek shaḳhs kī apnī hī ek manzil hai
koī kisī kā yahāñ ham-safar nahīñ hotā
tamām umr guzar jaatī hai kabhī pal meñ
kabhī to ek hī lamha basar nahīñ hotā
ye aur baat hai vo apnā hāl-e-dil na kahe
koī bhī shaḳhs yahāñ be-ḳhabar nahīñ hotā
ajiib log haiñ ye ahl-e-ishq bhī 'aḳhtar'
ki dil to hotā hai par in kā sar nahīñ hotā