tumhārā haath jab mere larazte haath se chhūTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the
vo mohkam be-lachak va.ada khilaune kī tarah TuuTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the
bahār aa.ī na thī lekin havāoñ meñ na.e mausam kī ḳhushbū raqs kartī thī
achānak jab kahā tum ne mire muñh par mujhe jhūTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the
vo kyā din the yahīñ ham ne bahāroñ kī duā kī thī kisī ne bhī nahīñ sochā
chaman vāloñ ne mil kar jab ḳhud apnā hī chaman luuTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the
likhā thā ek taḳhtī par koī bhī phuul mat toḌe magar āñdhī to an-paḌh thī
so jab vo baaġh se guzrī koī ukhḌā koī TuuTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the
bahut hī zor se piiTe havā ke bain par siine hamāre ḳhair-ḳhvāhoñ ne
ki chāñdī ke varaq jaisā samay ne jab hameñ kuuTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the
na rut thī āñdhiyoñ kī ye na mausam thā havāoñ kā to phir ye kyā huā 'amjad'
har ik koñpal huī zaḳhmī huā majrūh har buuTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the