Amjad Islam Amjad

dar-e-kaenat jo wa kare usi aagahi ki talash hai

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
dar-e-kā.enāt jo vā kare usī āgahī kī talāsh hai
mujhe raushnī kī talāsh thī mujhe raushnī kī talāsh hai
ġham-e-zindagī ke fishār meñ tirī aarzū ke ġhubār meñ
isī be-hisī ke hisār meñ mujhe zindagī kī talāsh hai
ye jo sarsarī sī nashāt hai ye to chand lamhoñ kī baat hai
mirī ruuh tak jo utar sake mujhe us ḳhushī kī talāsh hai
ye jo aag sī hai dabī dabī nahīñ dosto mire kaam kī
vo jo ek aan meñ phūñk de usī sho.alagī kī talāsh hai
ye jo mel-jol kī baat hai ye jo majlisī sī hayāt hai
mujhe is se koī ġharaz nahīñ mujhe dostī kī talāsh hai
Top Urdushayar.com