Amjad Islam Amjad

ghubar-e-dasht-e-talab mein hain raftagan kya kya

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
ġhubār-e-dasht-e-talab meñ haiñ raftagāñ kyā kyā
chamak rahe haiñ añdhere meñ ustuḳhvāñ kyā kyā
dikhā ke ham ko hamārā hī qaash qaash badan
dilāse dete haiñ dekho to qātilāñ kyā kyā
ghuTī diloñ kī mohabbat to shahr baḌhne lagā
miTe jo ghar to huvaidā hue makāñ kyā kyā
palaT ke dekhā to apne nishān-e-pā bhī na the
hamāre saath safar meñ the ham-rahāñ kyā kyā
halāk-e-nāla-e-shabnam zarā nazar to uThā
numūd karte haiñ aalam meñ gul-ruḳhāñ kyā kyā
kahīñ hai chāñd savālī kahīñ gadā ḳhurshīd
tumhāre dar par khaḌe haiñ ye sā.ilāñ kyā kyā
bichhaḌ ke tujh se na jī paa.e muḳhtasar ye hai
is ek baat se niklī hai dāstāñ kyā kyā
hai pur-sukūn samundar magar suno to sahī
lab-e-ḳhamosh se kahte haiñ bādbāñ kyā kyā
kisī kā raḳht-e-masāfat tamām dhuup hī dhuup
kisī ke sar pe kashīda haiñ sā.ebāñ kyā kyā
nikal hī jā.egī ik din madār se ye zamīñ
agarche pahre pe baiThe haiñ āsmāñ kyā kyā
fanā kī chaal ke aage kisī kī kuchh na chalī
bisāt-e-dahr se uTThe hisāb-dāñ kyā kyā
kise ḳhabar hai ki 'amjad' bahār aane tak
ḳhizāñ ne chaaT liye hoñge gulistāñ kyā kyā
Top Urdushayar.com