chehre pe mire zulf ko phailāo kisī din
kyā roz garajte ho baras jaao kisī din
rāzoñ kī tarah utro mire dil meñ kisī shab
dastak pe mire haath kī khul jaao kisī din
peḌoñ kī tarah husn kī bārish meñ nahā luuñ
bādal kī tarah jhuum ke ghar aao kisī din
ḳhushbū kī tarah guzro mirī dil kī galī se
phūloñ kī tarah mujh pe bikhar jaao kisī din
guzreñ jo mere ghar se to ruk jaa.eñ sitāre
is tarah mirī raat ko chamkāo kisī din
maiñ apnī har ik saañs usī raat ko de duuñ
sar rakh ke mire siine pe so jaao kisī din