dil ke dariyā ko kisī roz utar jaanā hai
itnā be-samt na chal lauT ke ghar jaanā hai
us tak aatī hai to har chiiz Thahar jaatī
jaise paanā hī use asl meñ mar jaanā hai
bol ai shām-e-safar rañg-e-rihā.ī kyā hai
dil ko ruknā hai ki tāroñ ko Thahar jaanā hai
kaun ubharte hue mahtāb kā rasta roke
us ko har taur sū-e-dasht-e-sahar jaanā hai
maiñ khilā huuñ to usī ḳhaak meñ milnā hai mujhe
vo to ḳhushbū hai use agle nagar jaanā hai
vo tire husn kā jaadū ho ki merā ġham-e-dil
har musāfir ko kisī ghaaT utar jaanā hai