Amjad Islam Amjad

jab bhi aaankhon mein tere wasl ka lamha chamka

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
jab bhī ā.ankhoñ meñ tire vasl kā lamha chamkā
chashm-e-be-āb kī dahlīz pe dariyā chamkā
fasl-e-gul aa.ī khule baaġh meñ ḳhushbū ke alam
dil ke sāhil pe tire naam kā taarā chamkā
aks be-naqsh hue aa.ine dhundlāne lage
dard kā chāñd sar-e-bām-e-tamannā chamkā
rañg āzād hue gul kī girah khulte hī
ek lamhe meñ ajab baaġh kā chehrā chamkā
pairahan meñ bhī tirā husn na thā hashr se kam
jab khule band-e-qabā aur hī naqsha chamkā
dil kī dīvār pe uḌte rahe malbūs ke rañg
der tak un meñ tirī yaad kā saayā chamkā
ruuh kī aañkh chakā-chauñd huī jaatī hai
kis kī aahaT kā mire kaan meñ naġhma chamkā
lahreñ uTh uTh ke magar us kā badan chūmtī thiiñ
vo jo paanī meñ gayā ḳhuub hī dariyā chamkā
hijr panpā na tirā vasl hameñ raas aayā
kisī maidān meñ taarā na hamārā chamkā
jaise bārish se dhule sehn-e-gulistāñ 'ajmad'
aañkh jab ḳhushk huī aur vo chehrā chamkā
Top Urdushayar.com