Amjad Islam Amjad

apne hone ki tab-o-tab se bahar na hue

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
apne hone kī tab-o-tāb se bāhar na hue
ham haiñ vo siip jo āzāda-e-gauhar na hue
harf-e-be-saut kī mānind rahe duniyā meñ
dasht-e-imkāñ meñ khule naqsh-e-musavvir na hue
phuul ke rañg sar-e-shāḳh-e-ḳhizāñ bhī chamke
qaidī-e-rasm-e-chaman ḳhaak ke jauhar na hue
thak ke girte bhī nahīñ ghar ko palaTte bhī nahīñ
najm-e-aflāk hue aas ke taa.ir na hue
us kī galiyoñ meñ rahe gard-e-safar kī sūrat
sañg-e-manzil na bane raah kā patthar na hue
apnī nākām umīdoñ ke ḳham-o-pech meñ gum
abr-e-kam-āb the ham rizq-e-samundar na hue
Top Urdushayar.com