Ashique Akbarabadi

daghon se dil-o-sina ke afroKHta-jaan hun

Ashique Akbarabadi

1848-1918
dāġhoñ se dil-o-sīna ke afroḳhta-jāñ huuñ
go maiñ chaman-e-tāza huuñ par vaqf-e-ḳhizāñ huuñ
pahlū meñ agar dil hai to tū dil meñ hai mere
go nañg-e-ḳhalā.eq huuñ magar jān-e-jahāñ huuñ
jis ḳhaak pe maiñ baiTh gayā fitna uThāyā
kis sarv-e-ḳhirāmāñ kī kaf-e-pā kā nishāñ huuñ
hamrāh tumhāre huuñ kisī jā huuñ kahīñ huuñ
saaya kī tarah tum ho jahāñ maiñ bhī vahāñ huuñ
yārab ho burā vahshat dil kā ki nahīñ chain
jab ḳhaak huā mar ke to ab reg-e-ravāñ huuñ
kyā ziist hai ye ḳhaak mirī āshiq-e-nāshād
gah masraf-e-fariyād huuñ gah vaqf-e-fuġhāñ huuñ
Top Urdushayar.com