Amjad Islam Amjad

kitni sarkash bhi ho sar-phiri ye hawa rakhna raushan diya

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
kitnī sarkash bhī ho sar-phirī ye havā rakhnā raushan diyā
raat jab tak rahe ai mire ham-navā rakhnā raushan diyā
raushnī kā vazīfa nahīñ vo chale rāsta dekh kar
vo to āzād hai misl-e-mauj-e-sabā rakhnā raushan diyā
raat kaisī bhī ho ḳhauf ke chor kī ghaat kaisī bhī ho
apnī ummīd kā apne vishvās kā rakhnā raushan diyā
shab kī be-ant zulmat se laḌ saktī hai ek nannhī sī lau
raah bhūle huoñ ko hai bāñg-e-darā rakhnā raushan diyā
āshnā kī sadā ghup-añdhere meñ ban jaatī hai raushnī
is shab-e-tār meñ apnī āvāz kā rakhnā raushan diyā
raushnī kī sharī.at meñ roz-e-azal se yahī darj hai
jot se jot jaltī rahegī sadā rakhnā raushan diyā
mujh se 'amjad' kahā jhilmilāte hue aḳhtar-e-shām ne
us ko aanā hī hai vo zarūr aa.egā rakhnā raushan diyā
Top Urdushayar.com