kisī kī aañkh meñ ḳhud ko talāsh karnā hai
phir us ke ba.ad hameñ ā.inoñ se Darnā hai
falak kī band galī ke faqīr haiñ tāre!
ki ghuum phir ke yahīñ se unheñ guzarnā hai
jo zindagī thī mirī jaan! tere saath ga.ī
bas ab to umr ke naqshe meñ vaqt bharnā hai
jo tum chalo to abhī do qadam meñ kaT jaa.e
jo fāsla mujhe sadiyoñ meñ paar karnā hai
to kyuuñ na aaj yahīñ par qayām ho jaa.e
ki shab qarīb hai āḳhir kahīñ Thaharnā hai
vo merā sail-e-talab ho ki terī ra.anā.ī
chaḌhā hai jo bhī samundar use utarnā hai
sahar huī to sitāroñ ne muuñd liiñ āñkheñ
vo kyā kareñ ki jinheñ intizār karnā hai
ye ḳhvāb hai ki haqīqat ḳhabar nahīñ 'amjad'
magar hai jiinā yahīñ par yahīñ pe marnā hai