Amjad Islam Amjad

raat main is kashmakash mein ek pal soya nahin

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
raat maiñ is kashmakash meñ ek pal soyā nahīñ
kal maiñ jab jaane lagā to us ne kyuuñ rokā nahīñ
yuuñ agar sochūñ to ik ik naqsh hai siine pe naqsh
haa.e vo chehra ki phir bhī aañkh meñ bantā nahīñ
kyuuñ uḌātī phir rahī hai dar-ba-dar mujh ko havā
maiñ agar ik shāḳh se TuuTā huā pattā nahīñ
aaj tanhā huuñ to kitnā ajnabī māhaul hai
ek bhī raste ne tere shahr meñ rokā nahīñ
harf barg-e-ḳhushk ban kar TūTte girte rahe
ġhuncha-e-arz-e-tamannā hoñT par phūTā nahīñ
dard kā rasta hai yā hai sā.at-e-roz-e-hisāb
saikaḌoñ logoñ ko rokā ek bhī Thahrā nahīñ
shabnamī āñkhoñ ke jugnū kāñpte hoñToñ ke phuul
ek lamha thā jo 'amjad' aaj tak guzrā nahīñ
Top Urdushayar.com