ye jo hāsil hameñ har shai kī farāvānī hai
ye bhī to apnī jagah ek pareshānī hai
zindagī kā hī nahīñ Thor-Thikāna ma.alūm
maut to tai hai ki kis vaqt kahāñ aanī hai
koī kartā hī nahīñ zikr vafādārī kā
in dinoñ ishq meñ āsānī hī āsānī hai
kab ye sochā thā kabhī dost ki yuuñ bhī hogā
terī sūrat tirī āvāz se pahchānī hai
chain lene hī nahīñ detī kisī pal mujh ko
roz-e-avval se mire saath jo hairānī hai
ye bhī mumkin hai ki ābādī ho is se aage
ye jo tā-hadd-e-nazar phailtī vīrānī hai
kyuuñ sitāre haiñ kahīñ aur kahīñ aañsū haiñ
aañkh vāloñ ne yahī ramz nahīñ jaanī hai
taḳht se taḳhta bahut duur nahīñ hotā hai
bas yahī baat hameñ aap ko batlānī hai
dost kī bazm hī vo bazm hai 'amjad' ki jahāñ
aql ko saath meñ rakhnā baḌī nādānī hai