Amjad Islam Amjad

ye gard-baad-e-tamana mein ghumte hue din

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
ye gard-bād-e-tamanā meñ ghūmte hue din
kahāñ pe jā ke rukeñge ye bhāgte hue din
ġhurūb hote ga.e raat ke añdheroñ meñ
naved-e-amn ke sūraj ko DhūñDte hue din
na jaane kaun ḳhalā ke ye isti.āre haiñ
tumhāre hijr kī galiyoñ meñ gūñjte hue din
na aap chalte na dete haiñ rāsta ham ko
thakī thakī sī ye shāmeñ ye ūñghte hue din
phir aaj kaise kaTegī pahāḌ jaisī raat
guzar gayā hai yahī baat sochte hue din
tamām umr mire saath saath chalte rahe
tumhīñ ko DhūñDte tum ko pukārte hue din
har ek raat jo tāmīr phir se hotī hai
kaTegā phir vahī dīvār chāTte hue din
mire qarīb se guzre haiñ bār-hā 'amjad'
kisī ke vasl ke vaade ko dekhte hue din
Top Urdushayar.com