na āsmāñ se na dushman ke zor o zar se huā
ye mojaza to mire dast-e-be-hunar se huā
qadam uThā hai to paañv tale zamīñ hī nahīñ
safar kā ranj hameñ ḳhvāhish-e-safar se huā
maiñ bhiig bhiig gayā aarzū kī bārish meñ
vo aks aks meñ taqsīm chashm-e-tar se huā
siyāhī shab kī na chehroñ pe aa ga.ī ho kahīñ
sahar kā ḳhauf hameñ ā.īnoñ ke Dar se huā
koī chale to zamīñ saath saath chaltī hai
ye raaz ham pe ayaañ gard-e-rahguzar se huā
tire badan kī mahak hī na thī to kyā rukte
guzar hamārā ka.ī baar yuuñ to ghar se huā
kahāñ pe so.e the 'amjad' kahāñ khulīñ āñkheñ
gumāñ qafas kā hameñ apne bām-o-dar se huā