tū nahīñ terā isti.ārā nahīñ
āsmāñ par koī sitārā nahīñ
vo mire sāmne se guzrā thā
phir bhī maiñ chup rahā pukārā nahīñ
vo nahīñ miltā ek baar hameñ
aur ye zindagī dobārā nahīñ
har samundar kā ek sāhil hai
hijr kī raat kā kinārā nahīñ
ho sake to nigāh kar lenā
tum pe kuchh zor to hamārā nahīñ