ai dil us zulf kī rakhiyo na tamannā baaqī
hashr tak varna rahegī shab-e-yaldā baaqī
tire hañgāma se ḳhush huuñ magar ai josh-e-junūñ
kuchh qayāmat ke liye bhī rahe ġhauġhā baaqī
aap ko bech chukā huuñ tire ġham ke hāthoñ
hai magar ishq kā tere abhī saudā baaqī
ġham-e-hijrāñ meñ ga.ī jaan chalo ḳhuub huā
dostoñ ko na rahe fikr-e-mudāvā baaqī
jaan siine se nikalne ko hai dil pahlū se
hai faqat us nigah-e-nāz kā iimā baaqī
ḳhāk-e-āshiq se ugātā hai muġhīlāñ kā daraḳht
us kī mizhgāñ kā hai marqad meñ bhī khaTkā baaqī