taarā taarā utar rahī hai raat samundar meñ
jaise Dūbne vāloñ ke hoñ haath samundar meñ
sāhil par to sab ke hoñge apne apne log
rah jā.egī kashtī kī har baat samundar meñ
ek nazar dekhā thā us ne aage yaad nahīñ
khul jaatī hai dariyā kī auqāt samundar meñ
maiñ sāhil se lauT aayā thā kashtī chalne par
pighal chukī thī lekin merī zaat samundar meñ
kaaT rahā huuñ aise 'amjad' ye hastī kī rah
be-patvārī naav pe jaise raat samundar meñ