paspā huī sipāh to parcham bhī ham hī the
hairat kī baat ye hai ki barham bhī ham hī the
girne lage jo suukh ke patte to ye khulā
gulshan the ham jo aap to mausam bhī ham hī the
ham hī the tere vasl se mahrūm umr bhar
lekin tere jamāl ke mahram bhī ham hī the
manzil kī be-ruḳhī ke gila-mand the hamīñ
har rāste meñ sañg-e-mujassam bhī ham hī the
apnī hī āstīñ meñ thā ḳhanjar chhupā huā
'amjad' har ek zaḳhm kā marham bhī ham hī the