Amjad Islam Amjad

aainon mein aks na hon to hairat rahti hai

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
ā.īnoñ meñ aks na hoñ to hairat rahtī hai
jaise ḳhālī āñkhoñ meñ bhī vahshat rahtī hai
har dam duniyā ke hañgāme ghere rakhte the
jab se tere dhyān lage haiñ fursat rahtī hai
karnī hai to khul ke karo inkār-e-vafā kī baat
baat adhūrī rah jaa.e to hasrat rahtī hai
shahr-e-suḳhan meñ aisā kuchh kar izzat ban jaa.e
sab kuchh miTTī ho jaatā hai izzat rahtī hai
bante bante Dhah jaatī hai dil kī har tāmīr
ḳhvāhish ke bahrūp meñ shāyad qismat rahtī hai
saa.e larazte rahte haiñ shahroñ kī galiyoñ meñ
rahte the insān jahāñ ab dahshat rahtī hai
mausam koī ḳhushbū le kar aate jaate haiñ
kyā kyā ham ko raat ga.e tak vahshat rahtī hai
dhyān meñ mela sā lagtā hai biitī yādoñ kā
aksar us ke ġham se dil kī sohbat rahtī hai
phūloñ kī taḳhtī par jaise rañgoñ kī tahrīr
lauh-e-suḳhan par aise 'amjad' shohrat rahtī hai
Top Urdushayar.com