tash.hīr apne dard kī har sū karā.iye
jī chāhtā hai minnat-e-tiflāñ uThā.iye
ḳhushbū kā haath thaam ke kiije talāsh-e-rañg
paañv ke naqsh dekh ke rasta banā.iye
phir aaj pattharoñ se mulāqāt kījiye
phir aaj sat.h-e-āb pe chehre banā.iye
har inkishāf dard ke parde meñ aa.egā
gar ho sake to ḳhud se bhī ḳhud ko chhupā.e
phūloñ kā rāsta nahīñ yaaro mirā safar
paañv aziiz haiñ to abhī luuT jā.iye
kab tak hinā ke naam pe dete raheñ lahū
kab tak nigār-e-dard ko dulhan banā.iye
'amjad' matā-e-umr zarā dekh-bhāl ke
aisā na ho ki ba.ad meñ aañsū bahā.iye