terā ye lutf kisī zaḳhm kā unvān na ho
ye jo sāhil sā nazar aatā hai tūfān na ho
kyā balā shahar pe TuuTī hai ḳhudā ḳhair kare
yuuñ sar-e-shām koī dasht bhī vīrān na ho
rañg ḳhushbū se judā ho to bikhar jaatā hai
dekhne vaale mire haal pe hairān na ho
baat bantī hai to phir aap hī ban jaatī hai
itnī māyūs muqaddar se mirī jaan na ho
siikh is shahar meñ jiine kā salīqa 'amjad'
koī martā hai mare, aap kā nuqsān na ho