jo din thā ek musībat to raat bhārī thī
guzārnī thī magar zindagī, guzārī thī
savād-e-shauq meñ aise bhī kuchh maqām aa.e
na mujh ko apnī ḳhabar thī na kuchh tumhārī thī
larazte hāthoñ se dīvār lipTī jaatī thī
na pūchh kis tarah tasvīr vo utārī thī
jo pyaar ham ne kiyā thā vo kārobār na thā
na tum ne jiitī ye baazī na maiñ ne haarī thī
tavāf karte the us kā bahār ke manzar
jo dil kī sej pe utrī ajab savārī thī
tumhārā aanā bhī achchhā nahīñ lagā mujh ko
fasurdagī sī ajab aaj dil pe taarī thī
kisī bhī zulm pe koī bhī kuchh na kahtā thā
na jaane kaun sī jaañ thī jo itnī pyārī thī
hujūm baḌhtā chalā jaatā thā sar-e-mahfil
baḌe rasān se qātil kī mashq jaarī thī
tamāshā dekhne vāloñ ko kaun batlātā
ki is ke ba.ad inhī meñ kisī kī baarī thī
vo is tarah thā mire bāzuoñ ke halqe meñ
na dil ko chain thā 'amjad' na be-qarārī thī