us ne āhista se jab pukārā mujhe
jhuk ke takne lagā har sitārā mujhe
terā ġham is fishār-e-shab-o-roz meñ
hone detā nahīñ be-sahārā mujhe
har sitāre kī bujhtī huī raushnī
mere hone kā hai isti.ārā mujhe
ai ḳhudā koī aisā bhī hai mojaza
jo ki mujh par kare āshkārā mujhe
koī sūraj nahīñ koī taarā nahīñ
tū ne kis jhuTpuTe meñ utārā mujhe
aks-e-imroz meñ naqsh-e-dīroz meñ
ik ishārā tujhe ik ishārā mujhe
haiñ azal tā abad TūTte ā.īne
āgahī ne kahāñ lā ke maarā mujhe