Amjad Islam Amjad

parde mein is badan ke chhupen raaz kis tarah

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
parde meñ is badan ke chhupeñ raaz kis tarah
ḳhushbū na hogī phuul kī ġhammāz kis tarah
tarz-e-kalām un kā huā tarz-e-ḳhās-o-ām
badleñge ab vo baat kā andāz kis tarah
badlā jo us kī aañkh kā andāz to khulā
karte haiñ rañg phuul se parvāz kis tarah
āñkhoñ meñ kaise tan ga.ī dīvār-e-be-hisī
sīnoñ meñ ghuT ke rah ga.ī āvāz kis tarah
vo haq-parast kaise hue maslahat-parast
naġhmoñ se be-libās hue saaz kis tarah
āñkhoñ meñ mom Daal ke baiTheñge kab talak
ā.īnoñ se chhupā.eñge ye raaz kis tarah
us kī nazar meñ aks-e-ta.alluq kahīñ nahīñ
'amjad' hadīs-e-shauq ho āġhāz kis tarah
Top Urdushayar.com