kamāl-e-husn hai husn-e-kamāl se bāhar
azal kā rañg hai jaise misāl se bāhar
to phir vo kaun hai jo māvarā hai har shai se
nahīñ hai kuchh bhī yahāñ gar ḳhayāl se bāhar
ye kā.enāt sarāpā javāb hai jis kā
vo ik savāl hai phir bhī savāl se bāhar
hai yaad ahl-e-vatan yuuñ ki reg-e-sāhil par
girī huī koī machhlī ho jaal se bāhar
ajiib silsila-e-rañg hai tamannā bhī
had-e-urūj se aage zavāl hai bāhar
na us kā ant hai koī na isti.āra hai
ye dāstān hai hijr-o-visāl se bāhar
duā buzurgoñ kī rakhtī hai zaḳhm ulfat ko
kisī ilaaj kisī indimāl se bāhar
bayāñ ho kis tarah vo kaifiyat ki hai 'amjad'
mirī talab se farāvāñ majāl se bāhar