Amjad Islam Amjad

sham Dhale jab basti wale lauT ke ghar ko aate hain

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
shaam Dhale jab bastī vaale lauT ke ghar ko aate haiñ
aahaT aahaT dastak dastak kyā kyā ham ghabrāte haiñ
ahl-e-junūñ to dil kī sadā par jaan se apnī jā bhī chuke
ahl-e-ḳhirad ab jaane ham ko kyā samjhāne aate haiñ
jaise rail kī har khiḌkī kī apnī apnī duniyā hai
kuchh manzar to ban nahīñ paate kuchh pīchhe rah jaate haiñ
jis kī har ik iiñT meñ jazb haiñ un ke apne hī aañsū
vaa.e ki ab vo ahl-e-duā hī is mehrāb ko Dhāte haiñ
aaj kī shab to kaT hī chalī hai ḳhvāboñ aur sarāboñ meñ
aane vaale din ab dekheñ kyā manzar dikhlāte haiñ
saarī umr hī dil se apnā aisā kuchh bartāo rahā
jaise khel meñ hārne vaale bachche ko bahlāte haiñ
nā-mumkin ko mumkin 'amjad' ahl-e-vafā hī kar sakte haiñ
paanī aur havā par dekho kyā kyā naqsh banāte haiñ
Top Urdushayar.com