zindagī dard bhī davā bhī thī
ham-safar bhī gurez-pā bhī thī
kuchh to the dost bhī vafā-dushman
kuchh mirī aañkh meñ hayā bhī thī
din kā apnā bhī shor thā lekin
shab kī āvāz be-sadā bhī thī
ishq ne ham ko ġhaib-dān kiyā
yahī tohfa yahī sazā bhī thī
gard-bād-e-vafā se pahle tak
sar pe ḳhema bhī thā ridā bhī thī
maañ kī āñkheñ charāġh thiiñ jis meñ
mere ham-rāh vo duā bhī thī
kuchh to thī rahguzar meñ sham-etalab
aur kuchh tez vo havā bhī thī
bevafā to vo ḳhair thā 'amjad'
lekin us meñ kahīñ vafā bhī thī