parde meñ laakh phir bhī numūdār kaun hai
hai jis ke dam se garmī-e-bāzār kaun hai
vo sāmne hai phir bhī dikhā.ī na de sake
mere aur us ke beach ye dīvār kaun hai
bāġh-e-vafā meñ ho nahīñ saktā ye faisla
sayyād yaañ pe kaun giraftār kaun hai
maanā nazar ke sāmne hai be-shumār dhuñd
hai dekhnā ki dhuñd ke is paar kaun hai
kuchh bhī nahīñ hai paas pe rahtā hai phir bhī ḳhush
sab kuchh hai jis ke paas vo bezār kaun hai
yuuñ to dikhā.ī dete haiñ asrār har taraf
khultā nahīñ ki sāhab-e-asrār kaun hai
'amjad' alag sī aap ne kholī hai jo dukāñ
jins-e-hunar kā yaañ ye ḳharīdār kaun hai