the ḳhvāb ek hamāre bhī aur tumhāre bhī
par apnā khel dikhāte rahe sitāre bhī
ye zindagī hai yahāñ is tarah hī hotā hai
sabhī ne bojh se laade haiñ kuchh utāre bhī
savāl ye hai ki aapas meñ ham mileñ kaise
hamesha saath to chalte haiñ do kināre bhī
kisī kā apnā mohabbat meñ kuchh nahīñ hotā
ki mushtarak haiñ yahāñ suud bhī ḳhasāre bhī
bigāḌ par hai jo tanqīd sab bajā lekin
tumhāre hisse ke jo kaam the sañvāre bhī
baḌe sukūn se Duube the Dūbne vaale
jo sāhiloñ pe khaḌe the bahut pukāre bhī
pa jaise rail meñ do ajnabī musāfir hoñ
safar meñ saath rahe yuuñ to ham tumhāre bhī
yahī sahī tirī marzī samajh na paa.e ham
ḳhudā gavāh ki mub.ham the kuchh ishāre bhī
yahī to ek havāla hai mere hone kā
yahī girātī hai mujh ko yahī utāre bhī
isī zamīn meñ ik din mujhe bhī sonā hai
isī zamīñ kī amānat haiñ mere pyāre bhī
vo ab jo dekh ke pahchānte nahīñ 'amjad'
hai kal kī baat ye lagte the kuchh hamāre bhī