na maanā merā kahnā dil gayā kyuuñ dād-ḳhvāhī ko
sazā dete haiñ vaañ mujrim banā kar be-gunāhī ko
hamārī be-kasī ne chhān Daalā hai jahāñ saarā
sivā tere Thikānā hī nahīñ hai be-panāhī ko
qayāmat meñ vo mujh ko dekh kar kahte haiñ ġhairoñ se
ḳhudā kī shaan hai āshiq chale haiñ dād-ḳhvāhī ko
uḌaa.ī ḳhaak us kī ḳhuub jā kar koh-o-sahrā meñ
dil-e-vahshī ne kyā ulTe diye chakkar tabāhī ko
ujaḌ jā.egā jis din kārḳhāna bāda-ḳhvāroñ kā
bahut ro.egā saaqī kashtī-e-mai kī tabāhī ko
burā ho rashk kā rahbar samajh kar dil se jo pūchhā
adam kā rāsta batlā diyā gum-gashta-rāhī ko