falak chakkar meñ kyuuñ chauñsaTh ghaḌī hai
girah us ke bhī tāle.a meñ kaḌī hai
koī īsā-nafas hai aane vaalā
ajal goshe meñ vo dubkī khaḌī hai
tire dar par hujūm-e-āshiqāñ hai
tamannā bhī tamannā.ī khaḌī hai
tabassum se tire gulshan meñ hai nuur
guloñ par chāñdnī lauTī paḌī hai
agar āshiq nahīñ mū-e-kamar par
ye choTī kis liye pīchhe paḌī hai
koī haTtī hai hasrat un ke dar se
khaḌī hai DaT ga.ī hai jā aḌī hai
ba-vaqt-e-zab.h bismil teġh hogī
dil-e-āshiq ko aisī tar-phaḌī hai