jo dil meñ ḳhūn-e-tamannā kiyā na karte ham
to misl-e-shola bhaḌak kar jalā na karte ham
agar na kashmakash-e-vahshat-e-junūñ hotī
to chaak jaib-o-garebāñ kiyā na karte ham
agar na ḳhātir-e-sayyād par garāñ hote
to yuuñ taḌap ke qafas se uḌā na karte ham
umiid naqsh pe aane kī tere gar hotī
to apne jiine kī hargiz duā na karte ham
na hote tere taġhāful ke ham agar kushte
to zer-e-teġh kabhī dam liyā na karte ham
jo dāġh-e-sīna-e-āshiq na mash.alī hotā
to āftāb se nisbat diyā na karte ham