Akhtar Amaan

mohabbaton mein bahut ras bhi hai miThas bhi hai

Akhtar Amaan

mohabbatoñ meñ bahut ras bhī hai miThās bhī hai

hamāre jiine bas ik yahī asaas bhī hai

kabhī to qurb se bhī fāsle nahīñ miTte

go ek umr se vo shaḳhs mere paas bhī hai

kisī ke aane mausam kisī ke jaane

ye dil ki ḳhush bhī hai lekin bahut udaas bhī hai

badan ke shahar meñ ābād ik darinda hai

agarche dekhne meñ kitnā ḳhush-libās bhī hai

ye jānte haiñ ki sab thak ke gir paḌeñge kahīñ

shikasta logoñ meñ jiine kitnī aas bhī hai

vo us apnā andāz hai bayāñ 'amān'

har ek hukm pe kahtā hai iltimās bhī hai

Top Urdushayar.com