Ashique Akbarabadi

gardish-e-dauran se yahan kis ko faragh aaya hai hath

Ashique Akbarabadi

1848-1918
gardish-e-daurāñ se yahāñ kis ko farāġh aayā hai haath
haañ magar aayā to ik hasrat kā daaġh aayā hai haath
nauha-sanjī kī bhī mohlat andalīboñ meñ nahīñ
bāġhbāñ qismat se kyā hai be-dimāġh aayā hai haath
umr guzrī justajū-e-kūcha-e-dil-dār meñ
vā.e-nākāmī pas-az-murdan surāġh aayā hai haath
dil ke dāġhoñ ne kiyā ham ko chaman se be-niyāz
mannateñ maanī haiñ barsoñ tab ye baaġh aayā hai haath
daaġh dil par naala lab par chashm giryāñ siina riish
'āshiq'-e-shorīda ko kis dam farāġh aayā hai haath
Top Urdushayar.com