un se do aañkh se aañsū bhī bahā.e na ga.e
qabr-e-āshiq ke nishāñ bhī to miTā.e na ga.e
ham miTe bhī to miTe ḳhaak jo hasrat na miTī
ham ga.e bhī to ga.e kyā jo bulā.e na ga.e
bazm-e-dushman meñ abhī the abhī apne ghar meñ
aa ke yuuñ baiThe ki jaise kahīñ aa.e na ga.e
barq kahiye ki chhalāvā jo chamak dikhlā kar
is tarah aa.e ki aa.e bhī aur aa.e na ga.e
haiñ vo 'āshiq' ki jagah pā ke na nikle dil se
yaad aa.e to junūñ mujh se bhulā.e na ga.e