Ashique Akbarabadi

guzre wade ko wo KHud yaad dila dete hain

Ashique Akbarabadi

1848-1918
guzre va.ade ko vo ḳhud yaad dilā dete haiñ
dil kī soī huī hasrat ko jagā dete haiñ
nau-giraftār-e-qafas haiñ nahīñ karte fariyād
jaan ko terī ye sayyād duā dete haiñ
tālib-e-jalva-e-dīdar samajh kar mujh ko
ik jhalak sī ruḳh-e-raushan kī dikhā dete haiñ
zab.h karte haiñ taḌapne nahīñ dete mujh ko
tah-e-zānū mirī gardan ko dabā dete haiñ
apne mauqe pe har ik baat bhalī hotī hai
shab-e-furqat meñ ye sadme bhī mazā dete haiñ
ġhair ke kahne se dar-gor kahā karte haiñ
jīte-jī vo mujhe paiġhām-e-qazā dete haiñ
maiñ vo qaidī huuñ ki sone nahīñ dete mujh ko
aañkh lagtī hai to zanjīr hilā dete haiñ
le liyā bosa-e-ruḳhsār to kyā jurm kiyā
pyaar kī baat pe nāhaq vo sazā dete haiñ
sham-e-mahfil huuñ na āshiq na maiñ bū-e-gul huuñ
mah-jabīñ kyuuñ mujhe āñchal kī havā dete haiñ
un ke qabze meñ hai kaunain kī shāhī 'āshiq'
shaah vo de nahīñ sakte jo gadā dete haiñ
Top Urdushayar.com