be-yaqīnī kā har ik samt asar jāgtā hai
aisī vahshat hai ki dīvār meñ dar jāgtā hai
shaam ko khulte haiñ dar aur kisī duniyā ke
raat ko fikr kā be-ant safar jāgtā hai
jis ko chāheñ ye use apnā banā saktī haiñ
terī ā.ankhoñ ke samundar meñ hunar jāgtā hai
ho na jaa.e kahīñ mismār ye is bārish meñ
ghar kī buniyād meñ ḳhāmosh khañDar jāgtā hai
ik nayā hausla detī hai shikasta-pā.ī
paañv zaḳhmī hoñ to phir azm-e-safar jāgtā hai
tujh ko darkār hai ik niiñd kī golī 'nāsir'
jism sotā hai tirā zehn magar jāgtā hai