lagā.e baiThe haiñ mehñdī jo mere ḳhuuñ se poroñ meñ
yahī to rahzanoñ meñ haiñ yahī haiñ dil ke choroñ meñ
paḌe rahte haiñ aksar sū-e-mushkīñ rū-e-jānāñ par
bahut dekhā hai ham ne ittifāq in kaale goroñ meñ
lagā.ī aag un ke husn-e-ālam-soz ne har-sū
jalāne chau-lakhā baiThe haiñ yuuñ kore sakoroñ meñ
vufūr-e-sohbat-e-aġhyār se kuchh aise khul khele
na vo jheñpeñ hazāroñ meñ na sharmā.eñ karo.roñ meñ
hameñ kū-e-butāñ se do-qadam uThne nahīñ detī
hamārī nā-tavānī in dinoñ hai aise zoroñ meñ
amaañ detā nahīñ vo chāhne vāloñ ko mar kar bhī
hamāre naam ko zālim ne piTvāyā DhinDhoroñ meñ
mire nāloñ kā 'āshiq' rañg uḌāyā andalīboñ ne
ḳhirām-e-yār kī shohrat huī saare chakoroñ meñ