maiñ kab se marā apne andar paḌā huuñ
maiñ murda huuñ murde ke uupar paḌā huuñ
maiñ duniyā badalne ko niklā thā ghar se
so thak haar ke ghar meñ aa kar paḌā huuñ
ḳhudā huuñ maiñ gumbad se laTkā huā huuñ
maiñ bhagvān mandir ke bāhar paḌā huuñ
tire paañv kī dhuul hī chāTnī hai
tire dar kā ban ke maiñ patthar paḌā huuñ
qadam dhar mirī sūkhī is sar-zamīñ pe
tirī chaah meñ kab se banjar paḌā huuñ
saverā huā makkhiyāñ aa ga.ī haiñ
maiñ jaagā huā chhat pe kyuuñ kar paḌā huuñ