Ali Imran

barish ke ghanghor hawale ginta rahta hun

Ali Imran

Jhang, Punjab, Pakistan

bārish ke ghanghor havāle gintā rahtā huuñ
lamha lamha bādal kaale gintā rahtā huuñ
sadiyāñ guzrīñ ḳhvāboñ ko āñkhoñ meñ aa.e
palkoñ par makḌī ke jaale gintā rahtā huuñ
uupar vaalā manzil mujh ko dikhlātā hai
aur maiñ apne pair ke chhāle gintā rahtā huuñ
tārīkī kī lāsheñ ginnā kitnā mushkil hai
din ke ādam-ḳhor ujāle gintā rahtā huuñ
merī chhāñv ke TukḌe khātā jaatā hai sūraj
maiñ āñgan meñ baiTh nivāle gintā rahtā huuñ
paanī kitnā uupar ho to Dūbūñgā maiñ
kitne patthar ab tak Daale gintā rahtā huuñ
duniyā taare ginte ginte sotī hai yaar
maiñ be-chāra chāñd ke haale gintā rahtā huuñ
Top Urdushayar.com