kahte haiñ ab hai shauq mulāqāt kā mujhe
jab hausla rahā hī nahīñ baat kā mujhe
samjhā ye maiñ ki dil ko mire phertā hai ye
baasī jab us ne paan rahā baat kā mujhe
din-rāt dekhtā huuñ hasīnoñ ke tazkire
rahtā hai shauq apnī hikāyāt kā mujhe
aatī haiñ yaad yaar ke kānoñ kī bijliyāñ
mausam na jiine degā ki barsāt kā mujhe
mujh ko agar ġharaz hai to ik un kī zaat se
'āshiq' nahīñ hai Dar to kisī zaat kā mujhe