Khan Rizwan

kabhi mujhe kabhi KHud ko bhula ke dekhta hai

Khan Rizwan

Jehanabad, Bihar, India

1982
kabhī mujhe kabhī ḳhud ko bhulā ke dekhtā hai
vo apne aap ko bhī aazmā ke dekhtā hai
ta.alluqāt meñ apnī hai maslahat sab kī
kabhī vo duur kabhī paas aa ke dekhtā hai
maiñ jā rahā huuñ bahut duur shahr se apne
vo sun ke baat mirī muskurā ke dekhtā hai
usī kā hukm hai tārīk ghar ko rakhne kā
magar charāġh-e-dil-o-jāñ jalā ke dekhtā hai
tabāh jis ke liye ḳhud ko kar liyā maiñ ne
vahī nazar se mujhe ab girā ke dekhtā hai
Top Urdushayar.com