Ashique Akbarabadi

sitam hai wo phir bad-guman ho raha hai

Ashique Akbarabadi

1848-1918
sitam hai vo phir bad-gumāñ ho rahā hai
pas-e-imtihāñ imtihāñ ho rahā hai
ḳhushī kyuuñ na ho qatl hone kī mujh ko
vo nā-mehrbāñ mehrbāñ ho rahā hai
tasadduq tujhī par zamīñ ho rahī hai
tujhī par fidā āsmāñ ho rahā hai
mujhe hichkiyoñ ne ḳhabar dī hai aa kar
mirā zikr jo kuchh vahāñ ho rahā hai
chalo sair kar aa.eñ jannat kī 'āshiq'
ajab kuchh tamāshā vahāñ ho rahā hai
Top Urdushayar.com