Khan Rizwan

Thaharna bhul gai hain lahu se tar aankhen

Khan Rizwan

Jehanabad, Bihar, India

1982
Thaharnā bhuul ga.ī haiñ lahū se tar āñkheñ
bhaTaktī rahtī haiñ din raat dar-ba-dar āñkheñ
vajūd merā kahīñ kho na jaa.e bin tere
raheñgī yuuñ hī tire saath umr bhar āñkheñ
tum apnī āñkhoñ ko nazzāra-e-jahāñ baḳhsho
mirī to ghūmtī rahtī haiñ ret par āñkheñ
tilism-ḳhāna-e-hairat hai ek putlī meñ
dikhātī haiñ mujhe kyā kyā ye muḳhtasar āñkheñ
tumhāre va.ade pe aisā yaqīn hai dil ko
kabhī haiñ dar pe kabhī vaqf-e-rahguzar āñkheñ
tirī nazar ke ta.āqub meñ hai nazar merī
tirī nazar hai jidhar haiñ mirī udhar āñkheñ
ye ḳhadd-o-ḳhāl ye gesū ye sūrat-e-zebā
sabhī kā husn hai apnī jagah magar āñkheñ
Top Urdushayar.com