hisār-e-ġham se jo nikle bhī to kidhar aa.e
bahut malāl huā lauT ke jo ghar aa.e
dikhā.ī kuchh na de lekin mirī nigāhoñ ko
tire jamāl kā manzar faqat nazar aa.e
tumhāre dar se guzar jā.ūñ aur ḳhabar bhī na ho
mire safar meñ ik aisī bhī rahguzar aa.e
tamām umr maiñ zad meñ rahā huuñ rātoñ kī
mire ḳhudā mire hisse kī ab sahar aa.e