Khan Rizwan

koi dua hai ya phir bad-dua hai mere liye

Khan Rizwan

Jehanabad, Bihar, India

1982
koī duā hai yā phir bad-duā hai mere liye
ye kaun pichhle pahar ro rahā hai mere liye
maiñ mo'tarif huuñ bahar-hāl us kī chāhat kā
jo tark-e-duniyā kiye jā rahā hai mere liye
panāh ab kisī bhī jaañ meñ le liyā jaa.e
ki āsmāñ na zamīñ kuchh bachā hai mere liye
maiñ chaah ke bhī judā is se ho nahīñ saktā
ajiib bebasī kī intihā hai mere liye
samajh na paayā use maiñ na vo mujhe 'rizvān'
ye koī vāhima yā hādisa hai mere liye
Top Urdushayar.com