Saleem Raza Rewa

jaane kaise honge aansu bahte hain to bahne do

Saleem Raza Rewa

Rewa, Madhya Pradesh, India

1975
jaane kaise hoñge aañsū bahte haiñ to bahne do
bhūlī-bisrī baat purānī kahte haiñ to kahne do
ham banjāroñ ko nā koī bāñdh sakā zanjīroñ meñ
aaj yahāñ kal vahāñ bhaTakte rahte haiñ to rahne do
muflis kī to majbūrī hai sardī garmī bārish kyā
roTī kī ḳhātir saare ġham sahte haiñ to sahne do
apne sukh sañg mere dukh ko saath kahāñ le jāoge
alag alag vo ik duuje se rahte haiñ to rahne do
ḳhuun ġharīboñ kā dāman meñ apne nā lagne deñge
sapnoñ ke gar mahal hamāre Dahte haiñ to Dahne do
pyaar meñ un ke sudh-budh kho kar is tarah behāl hue
log hameñ āshiq āvāra kahte haiñ to kahne do
mast magan ham apnī dhun meñ rahte haiñ dīvānoñ sā
jaane kitne ham ko pāgal kahte haiñ to kahne do
Top Urdushayar.com