ham ne har ik umiid kā putlā jalā diyā
dushvāriyoñ ko paañv ke nīche dabā diyā
merī tamām uñgliyāñ ghāyal to ho ga.iiñ
lekin tumhārī yaad kā naqsha miTā diyā
maiñ ne tamām chhāñv ġharīboñ meñ baañT dī
aur ye kyā ki dhuup ko pāgal banā diyā
us ke hasīñ libās pe ik daaġh kyā lagā
saarā ġhurūr ḳhaak meñ us kā milā diyā
jo zaḳhm khā ke bhī rahā hai aap kā sadā
us dil pe phir se aap ne ḳhanjar chalā diyā
us ne nibhā.ī ḳhuub mirī dostī 'razā'
ilzām-e-qatl-e-yār mujhī par lagā diyā